Kya paya hai zindagi ko fakkad ki tarah ji ke…..
Ek ehsas sa hi hai
kaha nahin ja sakta.
wo us mod par jahan sab kehte the ruk jao….par hum na ruke;
sab kehte the jukh jao……aur hum na jhuke.
Aur jo aandhiya aayi
aur sir ki chat tak uda le gayi,
Fir Kya paya bin
thaur thikane ke….panchi ki tarah udke…
Ek ehsas hi hai kaha nahin ja sakta.
JO BHI HO….. EHSAS YE…. MEETHA HAI, GAON KE GUD SA…….
AUR KHATTA HAI…..bachpan mein CHURAYI IMLIYO KA SA…..
Main sochti hu kya paati hu,apni hi marzi se jikar…..
Paati hu shayad haawa hone ka ehsas,jo gili bhi hai pehli
barish si ,kathor bhi aandhi si,
Madhosh phoolon ki mehek bhi hai,
Aur
HAWAN ki…..shant, gehri vandana si ……ESHWAR
ko arpit bhi..
No comments:
Post a Comment